koi hai mahw-e-aish-o-talabgar-e-zindagi
koi hai mahw-e-aish-o-talabgar-e-zindagi
Basheerunnisaa Begam Basheer
MORE BYBasheerunnisaa Begam Basheer
koī hai mahv-e-aish-o-talabgār-e-zindagī
koī hai shikva-sanj-o-girāñ-bār-e-zindagī
qismat kī gardishoñ se zamāne ke jaur se
hai zaar hāl-e-zār-e-gunahgār-e-zindagī
kuchh gol-mol us kī sadā chāl-Dhāl hai
ik chaal par nahīñ kabhī raftār-e-zindagī
zaḳhmī hue the paañv ki dāman ulajh gayā
mushkil hai rah ba-vādī-e-pur-ḳhār-e-zindagī
haañ ai ajal ziyāda na miTTī ḳharāb kar
zindān-e-zindagī meñ huuñ bezār-e-zindagī
tadbīr kuchh rihā.ī kī ranj-o-mehan se kar
taqdīr ne kiyā hai giraftār-e-zindagī
pinhāñ haiñ ḳhaar kisvat-e-gul meñ hazār-hā
hushyār dil-fareb hai gulzār-e-zindagī
rishta nigāh-o-fikr kā baaqī na rakh ajal
mere badan se khīñch le zunnār-e-zindagī
būdam zi-bād-o-ḳhāk-o-bahishtam havā-o-hirs
ab huuñ 'bashīr' duur zi-paikār-e-zindagī
koi hai mahw-e-aish-o-talabgar-e-zindagi
koi hai shikwa-sanj-o-giran-bar-e-zindagi
qismat ki gardishon se zamane ke jaur se
hai zar haal-e-zar-e-gunahgar-e-zindagi
kuchh gol-mol us ki sada chaal-Dhaal hai
ek chaal par nahin kabhi raftar-e-zindagi
zaKHmi hue the panw ki daman ulajh gaya
mushkil hai rah ba-wadi-e-pur-KHar-e-zindagi
han ai ajal ziyaada na miTTi KHarab kar
zindan-e-zindagi mein hun bezar-e-zindagi
tadbir kuchh rihai ki ranj-o-mehan se kar
taqdir ne kiya hai giraftar-e-zindagi
pinhan hain KHar kiswat-e-gul mein hazar-ha
hushyar dil-fareb hai gulzar-e-zindagi
rishta nigah-o-fikr ka baqi na rakh ajal
mere badan se khinch le zunnar-e-zindagi
budam zi-baad-o-KHak-o-bahishtam hawa-o-hirs
ab hun 'bashir' dur zi-paikar-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.