Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi hai par nazar aata nahin hai

Mohammad Alvi

koi hai par nazar aata nahin hai

Mohammad Alvi

MORE BYMohammad Alvi

    koī hai par nazar aatā nahīñ hai

    ġhanīmat hai vo ghar aatā nahīñ hai

    ġhazab dhuup hai aur rāste meñ

    kahīñ koī shajar aatā nahīñ hai

    ḳhushī se kab koī jaatā hai phir bhī

    koī kyoñ lauT kar aatā nahīñ hai

    ḳhayāloñ meñ ghirā rahtā huuñ har dam

    ḳhayāl apnā magar aatā nahīñ hai

    bulātā kyoñ nahīñ mujh ko falak par

    sitāra kyoñ utar aatā nahīñ hai

    phirā kartā hai saare shahr meñ vo

    maiñ kahtā huuñ idhar aatā nahīñ hai

    ġhazal meñ kyā milā dete ho 'alvī'

    maza aatā hai par aatā nahīñ hai

    koi hai par nazar aata nahin hai

    ghanimat hai wo ghar aata nahin hai

    ghazab ki dhup hai aur raste mein

    kahin koi shajar aata nahin hai

    KHushi se kab koi jata hai phir bhi

    koi kyon lauT kar aata nahin hai

    KHayalon mein ghira rahta hun har dam

    KHayal apna magar aata nahin hai

    bulata kyon nahin mujh ko falak par

    sitara kyon utar aata nahin hai

    phira karta hai sare shahr mein wo

    main kahta hun idhar aata nahin hai

    ghazal mein kya mila dete ho 'alwi'

    maza aata hai par aata nahin hai

    Source :
    • Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 115)
    • Author :Mohammad Alvi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now