koi hai tir to koi kaman jaisa hai
koī hai tiir to koī kamān jaisā hai
yahāñ yaqīn bhī sab kā gumān jaisā hai
yahāñ pe aa ke hamesha sukūñ milā ham ko
tumhārā ghar bhī hamāre makān jaisā hai
kamāl hai ki kisī se vo kuchh nahīñ kahtā
zabān ho ke bhī vo be-zabān jaisā hai
qadam qadam pe nayā ik savāl hai yaaro
ye zindagī kā safar imtihān jaisā hai
hamāre sar pe khulā āsmān rahne do
hamāre vāste ye sā.ebān jaisā hai
koi hai tir to koi kaman jaisa hai
yahan yaqin bhi sab ka guman jaisa hai
yahan pe aa ke hamesha sukun mila hum ko
tumhaara ghar bhi hamare makan jaisa hai
kamal hai ki kisi se wo kuchh nahin kahta
zaban ho ke bhi wo be-zaban jaisa hai
qadam qadam pe naya ek sawal hai yaro
ye zindagi ka safar imtihan jaisa hai
hamare sar pe khula aasman rahne do
hamare waste ye saeban jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.