koi haijaan isko kahta hai koi wijdan isko kahta hai
koī haijān is ko kahtā hai koī vijdān is ko kahtā hai
koī kahtā hai shā'irī hai 'abas koī imkān is ko kahtā hai
apnī apnī pasand hai sab kī apnā apnā hai sab kā zauq-e-suḳhan
vaah kahtā hai koī sun ke ġhazal koī hizyān is ko kahtā hai
hāsil-e-'umr ek shā'ir kā DeḌh do sau varaq kā majmū'a
koī dīvāna-pan samajhtā hai koī dīvān is ko kahtā hai
farq husn-e-nazar kā hotā hai ek motī ko dekhne meñ bhī
koī kahtā hai sang-reza ise koī marjān is ko kahtā hai
le ke phirte haiñ apne sar pe sabhī apne apne yaqīn kī chādar
koī kahtā hai gaa.e maatā hai koī haivān is ko kahtā hai
kaalā patthar hai jo 'aqīde kā sab ko miltā hai ye virāsat meñ
koī be-jān is ko kahtā hai koī bhagvān is ko kahtā hai
lauh-e-mahfūz ke musannif ne jo barā.e-bashar kiyā tahrīr
koī injīl is ko kahtā hai koī qur.ān is ko kahtā hai
ḳhuub durre paḌeñge 'vāsif' ko roz-e-mahshar daroġh-goī par
ek qatre kī baat hotī hai aur ye tūfān is ko kahtā hai
koi haijaan is ko kahta hai koi wijdan is ko kahta hai
koi kahta hai sha'iri hai 'abas koi imkan is ko kahta hai
apni apni pasand hai sab ki apna apna hai sab ka zauq-e-suKHan
wah kahta hai koi sun ke ghazal koi hizyan is ko kahta hai
hasil-e-'umr ek sha'ir ka DeDh do sau waraq ka majmu'a
koi diwana-pan samajhta hai koi diwan is ko kahta hai
farq husn-e-nazar ka hota hai ek moti ko dekhne mein bhi
koi kahta hai sang-reza ise koi marjaan is ko kahta hai
le ke phirte hain apne sar pe sabhi apne apne yaqin ki chadar
koi kahta hai gae mata hai koi haiwan is ko kahta hai
kala patthar hai jo 'aqide ka sab ko milta hai ye wirasat mein
koi be-jaan is ko kahta hai koi bhagwan is ko kahta hai
lauh-e-mahfuz ke musannif ne jo barae-bashar kiya tahrir
koi injil is ko kahta hai koi quran is ko kahta hai
KHub durre paDenge 'wasif' ko roz-e-mahshar darogh-goi par
ek qatre ki baat hoti hai aur ye tufan is ko kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.