koi hairan hai yan koi dil-gir
koī hairān hai yaañ koī dil-gīr
kahe tū hai ye aalam bazm-e-tasvīr
jale tak kā maiñ apne qadr-dāñ huuñ
ye chuTkī raakh hai ik-turfa iksīr
nigāh-e-ijz kuchh kuchh kārgar thī
so ab jaatī rahī us kī bhī tāsīr
vo din kyā bā-halāvat the ki ahbāb
muāfiq the baham juuñ shakkar-o-shīr
karūñ kyūñkar na maiñ 'rāsiḳh' mabāhāt
ki haiñ ustād mere hazrat-e-'mīr'
koi hairan hai yan koi dil-gir
kahe tu hai ye aalam bazm-e-taswir
jale tak ka main apne qadr-dan hun
ye chuTki rakh hai ik-turfa iksir
nigah-e-ijz kuchh kuchh kargar thi
so ab jati rahi us ki bhi tasir
wo din kya ba-halawat the ki ahbab
muafiq the baham jun shakkar-o-shir
karun kyunkar na main 'rasiKH' mabahat
ki hain ustad mere hazrat-e-'mir'
- Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 94)
- Author : Khvaja Mohammad Zakriya
- Publication : Sangat Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.