koi humse chhin na pata ye daulat aasani se
koī ham se chhīn na paatā ye daulat āsānī se
hiire jaisā dil khoyā hai apnī hī nādānī se
qaid hameñ karne kī ḳhātir itnī tadbīreñ tauba
ham to terī zulfoñ meñ hī bañdh jaate āsānī se
aaj talak bechain hai sāgar sar paTke sāhil sāhil
maiñ ne ik tasvīr banā dī thī āñkhoñ ke paanī se
duniyā kī is bhiiḌ meñ bhī maiñ aksar tanhā rahtā huuñ
merā kuchh naatā ho jaise sahrā kī vīrānī se
pahroñ shā.ir ḳhūn-e-jigar ko phailātā hai kāġhaz par
miltī hai ye ruuh ġhazal ko socho kis qurbānī se
koi hum se chhin na pata ye daulat aasani se
hire jaisa dil khoya hai apni hi nadani se
qaid hamein karne ki KHatir itni tadbiren tauba
hum to teri zulfon mein hi bandh jate aasani se
aaj talak bechain hai sagar sar paTke sahil sahil
main ne ek taswir bana di thi aankhon ke pani se
duniya ki is bhiD mein bhi main aksar tanha rahta hun
mera kuchh nata ho jaise sahra ki virani se
pahron shair KHun-e-jigar ko phailata hai kaghaz par
milti hai ye ruh ghazal ko socho kis qurbani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.