Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin

Kashfi Lucknavi

koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin

Kashfi Lucknavi

MORE BYKashfi Lucknavi

    koī hamdard nahīñ koī bhī dam-sāz nahīñ

    ab to is bazm meñ merī koī āvāz nahīñ

    naġhma kaisā ki laboñ par bhī hai ik mohar-e-sukūt

    dil dhaḌkan ke sivā ab koī āvāz nahīñ

    aur hotī hai ik sāz-e-shikasta sadā

    soz-e-ġham jis meñ na ho dil vo āvāz nahīñ

    mahv-e-parvāz hai us auj pe bhī merā ḳhayāl

    jis bulandī pe farishtoñ tag-o-tāz nahīñ

    ḳhaar ban jaanā hai har phuul mire hisse

    bāġhbāñ ye mirī qismat to e.ajāz nahīñ

    jab se badlā hai tirā tarz-e-sitam ai zālim

    dil-e-bismil ke taḌapne vo andāz nahīñ

    karvaTeñ lete haiñ naġhmāt-e-mohabbat is meñ

    dil āvāz se behtar koī āvāz nahīñ

    phir ga.ī milne se pahle vo nazar ai 'kashfī'

    ye vo anjām hai jis koī āġhāz nahīñ

    koi hamdard nahin koi bhi dam-saz nahin

    ab to is bazm mein meri koi aawaz nahin

    naghma kaisa ki labon par bhi hai ek mohar-e-sukut

    dil ki dhaDkan ke siwa ab koi aawaz nahin

    aur hi hoti hai ek saz-e-shikasta ki sada

    soz-e-gham jis mein na ho dil ki wo aawaz nahin

    mahw-e-parwaz hai us auj pe bhi mera KHayal

    jis bulandi pe farishton ki tag-o-taz nahin

    KHar ban jaana hai har phul mere hisse ka

    baghban ye meri qismat ka to eajaz nahin

    jab se badla hai tera tarz-e-sitam ai zalim

    dil-e-bismil ke taDapne ka wo andaz nahin

    karwaTen lete hain naghmat-e-mohabbat is mein

    dil ki aawaz se behtar koi aawaz nahin

    phir gai milne se pahle wo nazar ai 'kashfi'

    ye wo anjam hai jis ka koi aaghaz nahin

    Source :
    • Saaz-o-Naghma
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now