koi hangama sar-e-bazm uThaya jae
koī hañgāma sar-e-bazm uThāyā jaa.e
kuchh kiyā jaa.e charāġhoñ ko bujhāyā jaa.e
bhūlnā ḳhud ko to āsāñ hai bhulā baiThā huuñ
vo sitamgar jo na bhūle se bhulāyā jaa.e
jis ke baa.is haiñ ye chehre kī lakīreñ maġhmūm
ġhair-mumkin hai ki manzar vo dikhāyā jaa.e
shaam ḳhāmosh hai aur chāñd nikal aayā hai
kyuuñ na ik naqsh hī paanī pe banāyā jaa.e
zaḳhm hañste haiñ to ye fasl-e-bahār aatī hai
haañ isī baat pe phir zaḳhm lagāyā jaa.e
koi hangama sar-e-bazm uThaya jae
kuchh kiya jae charaghon ko bujhaya jae
bhulna KHud ko to aasan hai bhula baiTha hun
wo sitamgar jo na bhule se bhulaya jae
jis ke bais hain ye chehre ki lakiren maghmum
ghair-mumkin hai ki manzar wo dikhaya jae
sham KHamosh hai aur chand nikal aaya hai
kyun na ek naqsh hi pani pe banaya jae
zaKHm hanste hain to ye fasl-e-bahaar aati hai
han isi baat pe phir zaKHm lagaya jae
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.