koi hansae to hans dun rulae ro lun main
koī hañsā.e to hañs duuñ rulā.e ro luuñ maiñ
ye zindagī hai to phir is se haath dho luuñ maiñ
maiñ harf-harf rahā huuñ salīb-o-dār-ba-dosh
to phir jo tū ne kahā hai use bhī tolūñ meñ
jinheñ salīqa-e-iz.hār-e-ārzū hī nahīñ
vo log chāhte ye haiñ zabāñ na kholūñ maiñ
mire ḳhudā ne mujhe bolnā sikhāyā hai
to phir jo harf-e-yaqīñ hai vo kyoñ na bolūñ maiñ
sahar huī to yahāñ saḳht mā'raka hogā
abhī to raat kā pahlā pahar hai so luuñ maiñ
ye qaum murda-parastī ke fan meñ māhir hai
ye mujh ko ro.egī kal aaj is ko ro luuñ maiñ
haram se duur hī kitnā hai but-kada 'ḳhālid'
ab aa gayā huuñ idhar to udhar bhī ho luuñ maiñ
koi hansae to hans dun rulae ro lun main
ye zindagi hai to phir is se hath dho lun main
main harf-harf raha hun salib-o-dar-ba-dosh
to phir jo tu ne kaha hai use bhi tolun mein
jinhen saliqa-e-izhaar-e-arzu hi nahin
wo log chahte ye hain zaban na kholun main
mere KHuda ne mujhe bolna sikhaya hai
to phir jo harf-e-yaqin hai wo kyon na bolun main
sahar hui to yahan saKHt ma'raka hoga
abhi to raat ka pahla pahar hai so lun main
ye qaum murda-parasti ke fan mein mahir hai
ye mujh ko roegi kal aaj is ko ro lun main
haram se dur hi kitna hai but-kada 'KHalid'
ab aa gaya hun idhar to udhar bhi ho lun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.