koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin
koī hasrat bhī nahīñ koī tamannā bhī nahīñ
dil vo aañsū jo kisī aañkh se chhalkā bhī nahīñ
ruuTh kar baiTh ga.ī himmat-e-dushvār-pasand
raah meñ ab koī jaltā huā sahrā bhī nahīñ
aage kuchh log hameñ dekh ke hañs dete the
ab ye aalam hai koī dekhne vaalā bhī nahīñ
dard vo aag ki bujhtī nahīñ jaltī bhī nahīñ
yaad vo zaḳhm ki bhartā nahīñ ristā bhī nahīñ
bādbāñ khol ke baiThe haiñ safīnoñ vaale
paar utarne ke liye halkā sā jhoñkā bhī nahīñ
koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin
dil wo aansu jo kisi aankh se chhalka bhi nahin
ruTh kar baiTh gai himmat-e-dushwar-pasand
rah mein ab koi jalta hua sahra bhi nahin
aage kuchh log hamein dekh ke hans dete the
ab ye aalam hai koi dekhne wala bhi nahin
dard wo aag ki bujhti nahin jalti bhi nahin
yaad wo zaKHm ki bharta nahin rista bhi nahin
baadban khol ke baiThe hain safinon wale
par utarne ke liye halka sa jhonka bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.