Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi hasrat koi arman nahin rakhte hain

Navin Joshi

koi hasrat koi arman nahin rakhte hain

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    koī hasrat koī armān nahīñ rakhte haiñ

    ham to muddat se ye sāmān nahīñ rakhte haiñ

    zaḳhm rakhte haiñ na rakhte haiñ nishāñ ab koī

    chaak ho aisā garebān nahīñ rakhte haiñ

    be-hisī ye hamārī zarā aalam dekho

    jism rakhte hai magar jaan nahīñ rakhte haiñ

    ham se aġhyār pahchān kahāñ sañbhlegī

    jab ham apnoñ pahchān nahīñ rakhte haiñ

    ham samundar ko to mahkūm nahīñ rakh sakte

    haañ magar kashtī meñ tūfān nahīñ rakhte haiñ

    jab se mushkil hue haiñ tab se sukūñ hai so ab

    ḳhud ko dānista āsān nahīñ rakhte haiñ

    koi hasrat koi arman nahin rakhte hain

    hum to muddat se ye saman nahin rakhte hain

    zaKHm rakhte hain na rakhte hain nishan ab koi

    chaak ho aisa gareban nahin rakhte hain

    be-hisi ka ye hamari zara aalam dekho

    jism rakhte hai magar jaan nahin rakhte hain

    hum se aghyar ki pahchan kahan sanbhlegi

    jab hum apnon ki hi pahchan nahin rakhte hain

    hum samundar ko to mahkum nahin rakh sakte

    han magar kashti mein tufan nahin rakhte hain

    jab se mushkil hue hain tab se sukun hai so ab

    KHud ko danista hi aasan nahin rakhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now