koi hijr hai na visal hai
koī hijr hai na visāl hai
sabhī ḳhvāhishoñ kā ye jaal hai
mirī aañkh meñ jo Thahar gayā
tirī furqatoñ kā malāl hai
mirā ho ke bhī na vo ho sakā
ye ajiib sūrat-e-hāl hai
tumheñ sirf auroñ kī fikr hai
ki merā bhī koī ḳhayāl hai
mire haal ko na behāl kar
mirā tujh se bas ye savāl hai
koi hijr hai na visal hai
sabhi KHwahishon ka ye jal hai
meri aankh mein jo Thahar gaya
teri furqaton ka malal hai
mera ho ke bhi na wo ho saka
ye ajib surat-e-haal hai
tumhein sirf auron ki fikr hai
ki mera bhi koi KHayal hai
mere haal ko na behaal kar
mera tujh se bas ye sawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.