koi hota hai, har ek aashna achchha nahin hota
koī hotā hai, har ik āshnā achchhā nahīñ hotā
zarūrat se ziyāda rābta achchhā nahīñ hotā
sambhal kar khelnā chāho to dil se khel sakte ho
bachāo haath TuuTā aa.inā achchhā nahīñ hotā
jo vīrānoñ meñ hote haiñ vo ghar mahfūz hote haiñ
kisī kī dastaras meñ ghoñsla achchhā nahīñ hotā
Dubo degī gharelū kashmakash ma.asūm bachchoñ ko
kināroñ meñ ziyāda fāsla achchhā nahīñ hotā
taġhāful terā sheva hai magar ai bhūlne vaale
mohabbat ke dinoñ ko bhūlnā achchhā nahīñ hotā
kisī kī baat sunñā bhī zarūrī hai tafāvut meñ
ki yak-tarfa koī bhī faisla achchhā nahīñ hotā
samundar bāzuoñ ko āzmātā hai kināre tak
masāfat meñ shikasta hausla achchhā nahīñ hotā
galī meñ gir bhī saktā hai koī rah-gīr Thokar se
darīche se har ik ko dekhnā achchhā nahīñ hotā
koi hota hai, har ek aashna achchha nahin hota
zarurat se ziyaada rabta achchha nahin hota
sambhal kar khelna chaho to dil se khel sakte ho
bachao hath TuTa aaina achchha nahin hota
jo viranon mein hote hain wo ghar mahfuz hote hain
kisi ki dastaras mein ghonsla achchha nahin hota
Dubo degi gharelu kashmakash masum bachchon ko
kinaron mein ziyaada fasla achchha nahin hota
taghaful tera shewa hai magar ai bhulne wale
mohabbat ke dinon ko bhulna achchha nahin hota
kisi ki baat sunna bhi zaruri hai tafawut mein
ki yak-tarfa koi bhi faisla achchha nahin hota
samundar bazuon ko aazmata hai kinare tak
masafat mein shikasta hausla achchha nahin hota
gali mein gir bhi sakta hai koi rah-gir Thokar se
dariche se har ek ko dekhna achchha nahin hota
- Book : Pakistani Adab (Pg. 651)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.