koi hota yahan is safar mein mera
koī hotā yahāñ is safar meñ mirā
saath detā koī is Dagar meñ mirā
aaj maiñ khā rahā dar-ba-dar Thokareñ
āshiyāñ thā kabhī har shajar meñ mirā
log jo vaah vaahī se thakte na the
aib dikhtā unheñ ab hunar meñ mirā
tū bhī chupke se dāman chhuḌānā nahīñ
ek tū hī to hai is nagar meñ mirā
us ko tab merī bātoñ pe hogā yaqīñ
naam aa jā.egā jab ḳhabar meñ mirā
hai bharam us ko ik pal meñ ho jā.egā
ho na paayā koī umr bhar meñ mirā
khaa.ī thiiñ jis ne qasmeñ vo chaltā banā
chhoḌ kar ke safīna bhañvar meñ mirā
koi hota yahan is safar mein mera
sath deta koi is Dagar mein mera
aaj main kha raha dar-ba-dar Thokaren
aashiyan tha kabhi har shajar mein mera
log jo wah wahi se thakte na the
aib dikhta unhen ab hunar mein mera
tu bhi chupke se daman chhuDana nahin
ek tu hi to hai is nagar mein mera
us ko tab meri baaton pe hoga yaqin
nam aa jaega jab KHabar mein mera
hai bharam us ko ek pal mein ho jaega
ho na paya koi umr bhar mein mera
khai thin jis ne qasmen wo chalta bana
chhoD kar ke safina bhanwar mein mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.