koi inam-e-wafa hai ki sila hai kya hai
koī in.ām-e-vafā hai ki silā hai kyā hai
us ne ye dard-e-mohabbat jo diyā hai kyā hai
bhūlne ko tujhe dil kyuuñ nahīñ raazī hotā
terī yādoñ meñ kasak hai ki maza hai kyā hai
kis ne darvāze pe ye raat ga.e dastak dī
yaad us kī hai ki vo ḳhud ki havā hai kyā hai
tū jo mil jaatā hai har baar bichhaḌ kar mujh ko
ye muqaddar hai karam hai ki duā hai kyā hai
aaj kyā phir kisī armān ne dam toḌ diyā
shor kyuuñ dil se ye 'jāved' uThā hai kyā hai
koi inam-e-wafa hai ki sila hai kya hai
us ne ye dard-e-mohabbat jo diya hai kya hai
bhulne ko tujhe dil kyun nahin raazi hota
teri yaadon mein kasak hai ki maza hai kya hai
kis ne darwaze pe ye raat gae dastak di
yaad us ki hai ki wo KHud ki hawa hai kya hai
tu jo mil jata hai har bar bichhaD kar mujh ko
ye muqaddar hai karam hai ki dua hai kya hai
aaj kya phir kisi arman ne dam toD diya
shor kyun dil se ye 'jawed' uTha hai kya hai
- Book : Khwab Aasmano ke (Pg. 157)
- Author : Javed Nasimi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.