koi is KHwab ki tabir to batlae mujhe
koī is ḳhvāb kī ta.abīr to batlā.e mujhe
maiñ huuñ sahrā meñ magar dariyā nazar aa.e mujhe
mere andar ke ik ehsās ne dī hai ye sadā
tū agar ḳhud ko miTā le kabhī pā jaa.e mujhe
raat ke pichhle pahar tak maiñ phirūñ nashshe meñ
aur koī shoḳh hasīna mire ghar laa.e mujhe
tū ne ai mumbai jo kuchh bhī diyā hai mujh ko
vo mirā shahr to sadiyoñ bhī na de paa.e mujhe
maiñ tumhārī hī tarah bazm meñ chhā jā.ūñ magar
jhuuT kahne kā salīqa bhī to aa jaa.e mujhe
koi is KHwab ki tabir to batlae mujhe
main hun sahra mein magar dariya nazar aae mujhe
mere andar ke ek ehsas ne di hai ye sada
tu agar KHud ko miTa le kabhi pa jae mujhe
raat ke pichhle pahar tak main phirun nashshe mein
aur koi shoKH hasina mere ghar lae mujhe
tu ne ai mumbai jo kuchh bhi diya hai mujh ko
wo mera shahr to sadiyon bhi na de pae mujhe
main tumhaari hi tarah bazm mein chha jaun magar
jhuT kahne ka saliqa bhi to aa jae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.