koi istiKhaara ishaara nahin hai
koī istiḳhāra ishāra nahīñ hai
mire zaḳhm kā koī chāra nahīñ hai
tumhāre mutābiq nahīñ chal sakegā
ye dil hai hamārā tumhārā nahīñ hai
yuuñ dekheñ to merā sabhī kuchh luTā hai
mujhe ik tarah se ḳhasārā nahīñ hai
maiñ farhād-o-majnūñ ke jaisā nahīñ thā
so tujh ko sar-e-rah pukārā nahīñ hai
faqat haath vahm-o-gumāñ meñ uThe haiñ
kahīñ koī TuuTā sitārā nahīñ hai
sivā koī jis ke nahīñ hai hamārā
vahī shaḳhs 'sohil' hamārā nahīñ hai
koi istiKHara ishaara nahin hai
mere zaKHm ka koi chaara nahin hai
tumhaare mutabiq nahin chal sakega
ye dil hai hamara tumhaara nahin hai
yun dekhen to mera sabhi kuchh luTa hai
mujhe ek tarah se KHasara nahin hai
main farhad-o-majnun ke jaisa nahin tha
so tujh ko sar-e-rah pukara nahin hai
faqat hath wahm-o-guman mein uThe hain
kahin koi TuTa sitara nahin hai
siwa koi jis ke nahin hai hamara
wahi shaKHs 'sohil' hamara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.