koi itna be-sahaara kaise ho sakta hai yar
koī itnā be-sahārā kaise ho saktā hai yaar
ek manzar par guzārā kaise ho saktā hai yaar
ḳhaak paanī aur sabā kā bhī to kuchh hissa rahe
phuul āḳhir bas tumhārā kaise ho saktā hai yaar
ishq meñ ho vasl yā ke hijr donoñ haiñ bajā
dil kā saudā hai ḳhasāra kaise ho saktā hai yaar
maut se pahle karūñ tauba maiñ yād-e-yār se
mujh se majnūñ ko gavāra kaise ho saktā hai yaar
tujh ko chāhe jo maiñ us par vaar duuñ duniyā jahāñ
is se baḌh kar koī pyārā kaise ho saktā hai yaar
koi itna be-sahaara kaise ho sakta hai yar
ek manzar par guzara kaise ho sakta hai yar
KHak pani aur saba ka bhi to kuchh hissa rahe
phul aaKHir bas tumhaara kaise ho sakta hai yar
ishq mein ho wasl ya ke hijr donon hain baja
dil ka sauda hai KHasara kaise ho sakta hai yar
maut se pahle karun tauba main yaad-e-yar se
mujh se majnun ko gawara kaise ho sakta hai yar
tujh ko chahe jo main us par war dun duniya jahan
is se baDh kar koi pyara kaise ho sakta hai yar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.