koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein
koī jaane to kyā jaane vo yaktā hai hazāroñ meñ
sitam-gāroñ meñ ayyāroñ meñ dil-dāroñ meñ yāroñ meñ
kisī kā dil to kyā shīsha na TuuTā bāda-ḳhvāroñ meñ
ye tauba TuuT kar kyoñ jā milī parhezgāroñ meñ
kahāñ hai duḳhtar-e-raz ai mohtasib ham bāda-ḳhvāroñ meñ
tire Dar se vo kāfir jā chhupī parhezgāroñ meñ
koī ġhuncha-dahan hañs kar hameñ ab kyā hañsā.egā
bahāreñ ham ne luuTī haiñ bahut aglī bahāroñ meñ
inhīñ logoñ ke aane se to maiḳhāne kī azmat hai
qadam lo shaiḳh ke tashrīf laa.e bāda-ḳhvāroñ meñ
vo katrā kar chale haiñ mai-kade se hazrat-e-zāhid
baḌe murshid haiñ hāthoñ haath laanā un ko yāroñ meñ
paḌā royā kare vo 'dāġh' bekas is tarah tanhā
ki jis kī rāt-din hañs-bol kar guzrī ho yāroñ meñ
koi jaane to kya jaane wo yakta hai hazaron mein
sitam-garon mein ayyaron mein dil-daron mein yaron mein
kisi ka dil to kya shisha na TuTa baada-KHwaron mein
ye tauba TuT kar kyon ja mili parhezgaron mein
kahan hai duKHtar-e-raz ai mohtasib hum baada-KHwaron mein
tere Dar se wo kafir ja chhupi parhezgaron mein
koi ghuncha-dahan hans kar hamein ab kya hansaega
bahaaren hum ne luTi hain bahut agli bahaaron mein
inhin logon ke aane se to maiKHane ki azmat hai
qadam lo shaiKH ke tashrif lae baada-KHwaron mein
wo katra kar chale hain mai-kade se hazrat-e-zahid
baDe murshid hain hathon hath lana un ko yaron mein
paDa roya kare wo 'dagh' bekas is tarah tanha
ki jis ki raat-din hans-bol kar guzri ho yaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.