koi jab chhoD jata hai to dil ki maut hoti hai
koī jab chhoḌ jaatā hai to dil kī maut hotī hai
bahāreñ be-sabab haiñ jab koī apnā nahīñ hotā
ye āñkheñ niiñd kī vaadī meñ jā kar lauT ātīñ haiñ
vo vaadī maut kī hotī hai aur sapnā nahīñ hotā
badan ko chāhiye ik lothḌā garmā.ish-e-ḳhūñ ko
na hotā dil jo siine meñ dhḌaknā bhī nahīñ hotā
bahut do-chār qadmoñ kī masāfat tañg kartī hai
qadam ho jaa.eñ patthar ke to phir chalnā nahīñ hotā
mohabbat ke karam haiñ karb aur añgāre yādoñ ke
agar hotī na ye zālim to phir jalnā nahīñ hotā
kisī kī yaad meñ jī kar hazāroñ baar marte haiñ
agar na zindagī hotī kabhī marnā nahīñ hotā
koi jab chhoD jata hai to dil ki maut hoti hai
bahaaren be-sabab hain jab koi apna nahin hota
ye aankhen nind ki wadi mein ja kar lauT aatin hain
wo wadi maut ki hoti hai aur sapna nahin hota
badan ko chahiye ek lothDa garmaish-e-KHun ko
na hota dil jo sine mein dhDakna bhi nahin hota
bahut do-chaar qadmon ki masafat tang karti hai
qadam ho jaen patthar ke to phir chalna nahin hota
mohabbat ke karam hain karb aur angare yaadon ke
agar hoti na ye zalim to phir jalna nahin hota
kisi ki yaad mein ji kar hazaron bar marte hain
agar na zindagi hoti kabhi marna nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.