koi jab muskura kar bolta hai
koī jab muskurā kar boltā hai
mire dil kā kabūtar boltā hai
ġharaz hī kyā hai tum ko mere dukh se
ki terā to muqaddar boltā hai
amīr-e-shahr se ḳhā.if na honā
yahāñ ab har suḳhanvar boltā hai
mujhe sharmindagī hai muflisī meñ
mire dar par gadāgar boltā hai
yaqīnan maiñ use pahchāntā huuñ
pas-e-parda jo aksar boltā hai
bahut ḳhāmosh rahtā hai jo 'tanhā'
vo mahfil meñ barābar boltā hai
koi jab muskura kar bolta hai
mere dil ka kabutar bolta hai
gharaz hi kya hai tum ko mere dukh se
ki tera to muqaddar bolta hai
amir-e-shahr se KHaif na hona
yahan ab har suKHanwar bolta hai
mujhe sharmindagi hai muflisi mein
mere dar par gadagar bolta hai
yaqinan main use pahchanta hun
pas-e-parda jo aksar bolta hai
bahut KHamosh rahta hai jo 'tanha'
wo mahfil mein barabar bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.