koi jab ruh ko jakaDta hai
koī jab ruuh ko jakaḌtā hai
khel saara tabhī bigaḌtā hai
jab bhī koshish kī bhūlne kī tujhe
ik tamācha sā koī jaḌtā hai
thā faqat terā mas.ala varna
saarī duniyā se kaun laḌtā hai
tere kūche meñ roz aa.uuñ par
ek roḌā bahut hī aḌtā hai
dard-e-furqat meñ ek dīvāna
be-vajah har kisī se laḌtā hai
achchhe achchhe panāh māñgte haiñ
jab bhī darvesh zid pe aḌtā hai
koi jab ruh ko jakaDta hai
khel sara tabhi bigaDta hai
jab bhi koshish ki bhulne ki tujhe
ek tamacha sa koi jaDta hai
tha faqat tera masala warna
sari duniya se kaun laDta hai
tere kuche mein roz aaun par
ek roDa bahut hi aDta hai
dard-e-furqat mein ek diwana
be-wajah har kisi se laDta hai
achchhe achchhe panah mangte hain
jab bhi darwesh zid pe aDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.