koi jala hua manzar dikhai deta hai
koī jalā huā manzar dikhā.ī detā hai
saḌak pe jo bhī hai be-ghar dikhā.ī detā hai
tarāshtā hai mire fikr kī chaTānoñ ko
chhupā hai mujh meñ jo aazar dikhā.ī detā hai
kabhī kabhī mujhe sun lagtā hai tamām badan
zamīñ pe chaltā huā sar dikhā.ī detā hai
vo jab bhī mujh ko bachātā hai ġharq hone se
vajūd apnā samandar dikhā.ī detā hai
na koī jism na chehra na āñkheñ saḌkoñ par
guzarte sāyoñ kā lashkar dikhā.ī detā hai
koi jala hua manzar dikhai deta hai
saDak pe jo bhi hai be-ghar dikhai deta hai
tarashta hai mere fikr ki chaTanon ko
chhupa hai mujh mein jo aazar dikhai deta hai
kabhi kabhi mujhe sun lagta hai tamam badan
zamin pe chalta hua sar dikhai deta hai
wo jab bhi mujh ko bachata hai gharq hone se
wajud apna samandar dikhai deta hai
na koi jism na chehra na aankhen saDkon par
guzarte sayon ka lashkar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.