koi jalwa tera aisa nahin hai
koī jalva terā aisā nahīñ hai
mere dil ne jise parkhā nahīñ hai
na jīvan meñ kisī se rūThnā tum
tumheñ is ġham kā andāza nahīñ hai
yaqīñ maano uḌā hai chain dil kā
tumheñ jis roz se dekhā nahīñ hai
tumhārā faisla tum ko mubārak
magar rishta mirā kachchā nahīñ hai
ye maanā bhūlnā fitrat hai terī
kisī ko bhūlnā achchhā nahīñ hai
kabhī maiñ yaad bhī aa jā.ūñ tum ko
ziyāda sochnā achchhā nahīñ hai
mirī āñkhoñ se manzar dekh le tū
tirī āñkhoñ ne jo dekhā nahīñ hai
lagan sachchī rifāqat aur ulfat
ye kachche suut kā dhāgā nahīñ
tujhe har zāviye se parkhā maiñ ne
koī pahlū terā khoTā nahīñ hai
nikhārā ishq kī agnī ne us ko
ye 'kundan' ho gayā sonā nahīñ hai
koi jalwa tera aisa nahin hai
mere dil ne jise parkha nahin hai
na jiwan mein kisi se ruThna tum
tumhein is gham ka andaza nahin hai
yaqin mano uDa hai chain dil ka
tumhein jis roz se dekha nahin hai
tumhaara faisla tum ko mubarak
magar rishta mera kachcha nahin hai
ye mana bhulna fitrat hai teri
kisi ko bhulna achchha nahin hai
kabhi main yaad bhi aa jaun tum ko
ziyaada sochna achchha nahin hai
meri aankhon se manzar dekh le tu
teri aankhon ne jo dekha nahin hai
lagan sachchi rifaqat aur ulfat
ye kachche sut ka dhaga nahin
tujhe har zawiye se parkha main ne
koi pahlu tera khoTa nahin hai
nikhaara ishq ki agni ne us ko
ye 'kundan' ho gaya sona nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.