koi jalwa-fishan hai aur main hun
koī jalvā-fishāñ hai aur maiñ huuñ
tasavvur kā jahāñ hai aur maiñ huuñ
kaThin hai raah manzil gum shab-e-tār
magar azm-e-garāñ hai aur maiñ huuñ
ḳhizāñ kī anjuman meñ huuñ farokash
fareb-e-gulsitāñ hai aur maiñ huuñ
ye merā dil hai yā tasvīr-kHāna
jamāl-e-gul-ruḳhāñ hai aur maiñ huuñ
hamārā kārvāñ bhaTkā huā hai
ḳhayāl-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
nazar meñ māvarā-e-farsh-o-arsh ab
fazā-e-do-jahāñ hai aur maiñ huuñ
mirā koī sharīk-e-ġham nahīñ hai
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
ta'assub hai kahīñ firqa-parastī
ajab nāzuk samāñ hai aur maiñ huuñ
shab-e-tārīk ke dāman meñ 'maġhmūm'
sukūt-e-bekarāñ hai aur maiñ huuñ
koi jalwa-fishan hai aur main hun
tasawwur ka jahan hai aur main hun
kaThin hai rah manzil gum shab-e-tar
magar azm-e-garan hai aur main hun
KHizan ki anjuman mein hun farokash
fareb-e-gulsitan hai aur main hun
ye mera dil hai ya taswir-kHana
jamal-e-gul-ruKHan hai aur main hun
hamara karwan bhaTka hua hai
KHayal-e-karwan hai aur main hun
nazar mein mawara-e-farsh-o-arsh ab
faza-e-do-jahan hai aur main hun
mera koi sharik-e-gham nahin hai
mera dard-e-nihan hai aur main hun
ta'assub hai kahin firqa-parasti
ajab nazuk saman hai aur main hun
shab-e-tarik ke daman mein 'maghmum'
sukut-e-bekaran hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.