koi jhuTa qayas rahne do
koī jhūTā qayās rahne do
mujh se milne kī aas rahne do
jashn-e-girya kā ehtimām karo
zindagī hai udaas rahne do
zaḳhm dil ke hare dikhā.ī deñ
us havelī meñ ghaas rahne do
chāñdnī chhup ga.ī hai bādal meñ
chāñd ko bad-havās rahne do
sham.a jugnū charāġh bechainī
raat ke ās-pās rahne do
multamis ho ke kyā milā 'shākir'
mat karo iltimās rahne do
koi jhuTa qayas rahne do
mujh se milne ki aas rahne do
jashn-e-girya ka ehtimam karo
zindagi hai udas rahne do
zaKHm dil ke hare dikhai den
us haweli mein ghas rahne do
chandni chhup gai hai baadal mein
chand ko bad-hawas rahne do
shama jugnu charagh bechaini
raat ke aas-pas rahne do
multamis ho ke kya mila 'shakir'
mat karo iltimas rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.