koi jo rahta hai rahne do maslahat ka shikar
koī jo rahtā hai rahne do maslahat kā shikār
chalo ki jashn-e-bahārāñ manāeñge sab yaar
chalo nikhāreñge apne lahū se āriz-e-gul
yahī hai rasm-e-vafā aur manchaloñ kā shi.ār
jo zindagī meñ hai vo zahr ham bhī pī Dāleñ
chalo haTā.eñge palkoñ se rāstoñ ke ḳhaar
yahāñ to sab hī sitam-dīda ġham-gazīda haiñ
karegā kaun bhalā zaḳhm-hā-e-dil kā shumār
chalo ki aaj rakhī jā.egī nihād-e-chaman
chalo ki aaj bahut dost ā.eñge sar-e-dār
koi jo rahta hai rahne do maslahat ka shikar
chalo ki jashn-e-bahaaran manaenge sab yar
chalo nikhaarenge apne lahu se aariz-e-gul
yahi hai rasm-e-wafa aur manchalon ka shiar
jo zindagi mein hai wo zahr hum bhi pi Dalen
chalo haTaenge palkon se raston ke KHar
yahan to sab hi sitam-dida gham-gazida hain
karega kaun bhala zaKHm-ha-e-dil ka shumar
chalo ki aaj rakhi jaegi nihad-e-chaman
chalo ki aaj bahut dost aaenge sar-e-dar
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 145)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.