koi jugnu koi dipak kiran ho ya sitara ho
koī jugnū koī dīpak kiran ho yā sitāra ho
safar meñ raat aa pahuñchī koī to ab hamārā ho
kisī ke ishq kā naġhma hamāre lab pe bhī gūñje
koī to naam le kar ab hamārā bhī pukārā ho
kisī ke haath aise hoñ jo mujh ko thaam sakte huuñ
mujhe har ek laġhzish par sadā jis kā sahārā ho
koī to sub.h aisī ho ki jab maiñ niiñd se jāgūñ
mirī pahlī nazar ko bas vahī chehra nazārā ho
kabhī sochā hai mumkin hai jise tum bevafā samjhe
vahī laḌkī zamāne meñ vafā kā isti.āra ho
tirī palkoñ kī chaukhaT se jo aañsū chun liyā maiñ ne
vo ik aañsū vahī jugnū mujhe har shai se pyārā ho
bhañvar paañv se uljhe haiñ magar dil kī talab ye hai
mire jīvan kī naav kā tirā sañgam kinārā ho
maiñ kachchī niiñd se jaagī na jaane aaj phir kaise
koī us paar se shāyad mujhe phir se pukārā ho
junūn-e-ishq meñ 'īmāñ' faqat itnā parakh lenā
jise jugnū samajhtī huuñ ḳhabar kyā vo sharārā ho
koi jugnu koi dipak kiran ho ya sitara ho
safar mein raat aa pahunchi koi to ab hamara ho
kisi ke ishq ka naghma hamare lab pe bhi gunje
koi to nam le kar ab hamara bhi pukara ho
kisi ke hath aise hon jo mujh ko tham sakte hun
mujhe har ek laghzish par sada jis ka sahaara ho
koi to subh aisi ho ki jab main nind se jagun
meri pahli nazar ko bas wahi chehra nazara ho
kabhi socha hai mumkin hai jise tum bewafa samjhe
wahi laDki zamane mein wafa ka istiara ho
teri palkon ki chaukhaT se jo aansu chun liya main ne
wo ek aansu wahi jugnu mujhe har shai se pyara ho
bhanwar panw se uljhe hain magar dil ki talab ye hai
mere jiwan ki naw ka tera sangam kinara ho
main kachchi nind se jagi na jaane aaj phir kaise
koi us par se shayad mujhe phir se pukara ho
junun-e-ishq mein 'iman' faqat itna parakh lena
jise jugnu samajhti hun KHabar kya wo sharara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.