koi jugnu ya sitara ya qamar kuchh to bana
koī jugnū yā sitārā yā qamar kuchh to banā
raat hone vaalī hai tārīk-tar kuchh to banā
dukh kā bādal hī sahī ġham kā samundar hī sahī
kam se kam is baar tā-hadd-e-nazar kuchh to banā
duur hai manzil bahut aur rāstā sunsān hai
dil lagāne ke liye ai ham-safar kuchh to banā
ai nigāh-e-nāz tū jalve dikhā apne kabhī
siine meñ nāsūr yā zaḳhm-e-jigar kuchh to banā
varna 'sonam' ek din ye rā.egāñ ho jā.egā
tū kabhī to aazmā apnā hunar kuchh to banā
koi jugnu ya sitara ya qamar kuchh to bana
raat hone wali hai tarik-tar kuchh to bana
dukh ka baadal hi sahi gham ka samundar hi sahi
kam se kam is bar ta-hadd-e-nazar kuchh to bana
dur hai manzil bahut aur rasta sunsan hai
dil lagane ke liye ai ham-safar kuchh to bana
ai nigah-e-naz tu jalwe dikha apne kabhi
sine mein nasur ya zaKHm-e-jigar kuchh to bana
warna 'sonam' ek din ye raegan ho jaega
tu kabhi to aazma apna hunar kuchh to bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.