koi kaba na kalisa na sanam mera hai
koī ka.aba na kalīsā na sanam merā hai
ik na.e ḳhvāb kī dhartī pe qadam merā hai
saarī duniyā se hama-vaqt juḌā rahtā huuñ
rābta ḳhud se magar aaj bhī kam merā hai
dil ko ehsās ke us moḌ pe laa.ī hai hayāt
ab na merī hai ḳhushī aur na ġham merā hai
ab bhī Dartā huuñ har ik baat maiñ likhne se 'faroġh'
tum ye kahte ho ki āzād qalam merā hai
koi kaba na kalisa na sanam mera hai
ek nae KHwab ki dharti pe qadam mera hai
sari duniya se hama-waqt juDa rahta hun
rabta KHud se magar aaj bhi kam mera hai
dil ko ehsas ke us moD pe lai hai hayat
ab na meri hai KHushi aur na gham mera hai
ab bhi Darta hun har ek baat main likhne se 'farogh'
tum ye kahte ho ki aazad qalam mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.