koī kab bhed dil kā kholtā hai
bahā jo ashk vo ḳhud boltā hai
bachā.ūñ husn se kaise maiñ dāman
mirā dil bhī to aksar Doltā hai
hisār-e-jism kā qaidī parinda
uḌānoñ ke liye par toltā hai
tumhāre qurb kā vo pyārā lamha
mire jīvan meñ vish kyoñ gholtā hai
bachā.e rakhnā 'raaj āñkhoñ ke motī
inheñ miTTī meñ kyoñ tū roltā hai
koi kab bhed dil ka kholta hai
baha jo ashk wo KHud bolta hai
bachaun husn se kaise main daman
mera dil bhi to aksar Dolta hai
hisar-e-jism ka qaidi parinda
uDanon ke liye par tolta hai
tumhaare qurb ka wo pyara lamha
mere jiwan mein wish kyon gholta hai
bachae rakhna 'raj aankhon ke moti
inhen miTTi mein kyon tu rolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.