koi kamal hua phir na is kamal ke baad
koī kamāl huā phir na is kamāl ke baa'd
ki ek shaḳhs na bhāyā tire visāl ke baa'd
use malāl ki maiñ ne use chhuā hī nahīñ
mujhe malāl ki us ne kahā malāl ke baa'd
kabhī bhī ishq jo karnā to soch kar karnā
ye tajraba hai mirā yaar apne haal ke baa'd
barahna ruuh thī jab tak koī tamāsha na thā
ye sab shurūa huā ek ḳhadd-o-ḳhāl ke baa'd
ajiib rang dikhā.e haiñ ishq ne tere
ki maiñ uruuj pe aayā mire zavāl ke baa'd
tire visāl se niklā to hijr TuuT paḌā
maiñ phir se jaal meñ aayā huuñ ek jaal ke baa'd
koi kamal hua phir na is kamal ke ba'd
ki ek shaKHs na bhaya tere visal ke ba'd
use malal ki main ne use chhua hi nahin
mujhe malal ki us ne kaha malal ke ba'd
kabhi bhi ishq jo karna to soch kar karna
ye tajraba hai mera yar apne haal ke ba'd
barahna ruh thi jab tak koi tamasha na tha
ye sab shurua hua ek KHadd-o-KHal ke ba'd
ajib rang dikhae hain ishq ne tere
ki main uruj pe aaya mere zawal ke ba'd
tere visal se nikla to hijr TuT paDa
main phir se jal mein aaya hun ek jal ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.