koi Khaali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun
koi Khaali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun
Raja Karan Prasad Karan
MORE BYRaja Karan Prasad Karan
koī ḳhālī gayā na jis dar se aise daatā kā maiñ bhikārī huuñ
jis kā har ek dil meñ mandir hai aisī mūrat kā maiñ pujārī huuñ
ho gayā ḳhud shikār kā maiñ shikār aisā anjān maiñ shikārī huuñ
mujh se aalam ko kyā shikāyat ho aap maiñ apnī jaañ pe bhārī huuñ
kahtī hai dil kā karke kaam tamām maiñ nahīñ huuñ nazar kaTārī huuñ
ek zarra huuñ nuur kā maiñ 'karan' na maiñ ḳhākī huuñ aur na naarī huuñ
koi KHali gaya na jis dar se aise data ka main bhikari hun
jis ka har ek dil mein mandir hai aisi murat ka main pujari hun
ho gaya KHud shikar ka main shikar aisa anjaan main shikari hun
mujh se aalam ko kya shikayat ho aap main apni jaan pe bhaari hun
kahti hai dil ka karke kaam tamam main nahin hun nazar kaTari hun
ek zarra hun nur ka main 'karan' na main KHaki hun aur na nari hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.