koi khiDki thi na raushan-dan tha
koī khiḌkī thī na raushan-dān thā
ya.anī vo kamra nahīñ zindān thā
vo bhī gahre gahre andeshoñ meñ qaid
jis ko kahte haiñ agar imkān thā
kis tarah aaya thā aur jaate hue
sochtā huuñ ye vahī insān thā
aañkh dekhā hī samajh baiThā thā sach
haa.e maiñ bhī kis qadar nādān thā
itnā ġhussa itnī vahshat itnī aag
maiñ to apne aap se anjān thā
koi khiDki thi na raushan-dan tha
yani wo kamra nahin zindan tha
wo bhi gahre gahre andeshon mein qaid
jis ko kahte hain agar imkan tha
kis tarah aaya tha aur jate hue
sochta hun ye wahi insan tha
aankh dekha hi samajh baiTha tha sach
hae main bhi kis qadar nadan tha
itna ghussa itni wahshat itni aag
main to apne aap se anjaan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.