koi KHud se siwa nahin hota
koī ḳhud se sivā nahīñ hotā
banda hargiz ḳhudā nahīñ hotā
dil hamārā hai yā tumhārā ab
ham se ye faisla nahīñ hotā
jaane vaalā agar nahīñ aatā
ḳhāna-e-dil sajā nahīñ hotā
kyā qayāmat thī aap kā dīdār
roz ye sāneha nahīñ hotā
do qadam mere saath to chalte
tum se itnā bhī kyā nahīñ hotā
log to vaz.a tak nibhāte haiñ
tum se va.ada vafā nahīñ hotā
ye to dekhā ki kyā huā 'ruḳhsār'
ye bhī dekho ki kyā nahīñ hotā
koi KHud se siwa nahin hota
banda hargiz KHuda nahin hota
dil hamara hai ya tumhaara ab
hum se ye faisla nahin hota
jaane wala agar nahin aata
KHana-e-dil saja nahin hota
kya qayamat thi aap ka didar
roz ye saneha nahin hota
do qadam mere sath to chalte
tum se itna bhi kya nahin hota
log to waza tak nibhate hain
tum se wada wafa nahin hota
ye to dekha ki kya hua 'ruKHsar'
ye bhi dekho ki kya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.