koi KHushbu miTTi se aane lagi hai
koī ḳhushbū miTTī se aane lagī hai
zamīñ par vo būñdeñ girāne lagī hai
palaT aa.ī hai phir se sāvan kī bārish
kaḌī dhuup ghar se haTāne lagī hai
mohabbat mohabbat aqīdat aqīdat
ye naġhme suhāne sunāne lagī hai
kahāñ se nikal aa.e haiñ ye patañge
ye kis kis ko bārish jagāne lagī hai
mohalle meñ ḳhāmosh rahtī thī laḌkī
jahāñ saarā sar par uThāne lagī hai
dhanak se lapak kar vo milne lagī hai
gumāñ se bhī ab paar jaane lagī hai
tamāzat ġhamoñ kī jalātī bahut thī
mirī aag bārish bujhāne lagī hai
ye ġhaflat ke parde bhī dil se haTā de
duā lab pe mere ye aane lagī hai
'mahak' aañkh se Tapkā paanī bahut hai
nadāmat se aañsū bahāne lagī hai
koi KHushbu miTTi se aane lagi hai
zamin par wo bunden girane lagi hai
palaT aai hai phir se sawan ki barish
kaDi dhup ghar se haTane lagi hai
mohabbat mohabbat aqidat aqidat
ye naghme suhane sunane lagi hai
kahan se nikal aae hain ye patange
ye kis kis ko barish jagane lagi hai
mohalle mein KHamosh rahti thi laDki
jahan sara sar par uThane lagi hai
dhanak se lapak kar wo milne lagi hai
guman se bhi ab par jaane lagi hai
tamazat ghamon ki jalati bahut thi
meri aag barish bujhane lagi hai
ye ghaflat ke parde bhi dil se haTa de
dua lab pe mere ye aane lagi hai
'mahak' aankh se Tapka pani bahut hai
nadamat se aansu bahane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.