koi KHushi koi rahat idhar nahin aai
koī ḳhushī koī rāhat idhar nahīñ aa.ī
maiñ muntazir hī rahā umr bhar nahīñ aa.ī
safar tamām huā rahguzar tamām huī
mirī talāsh kī manzil magar nahīñ aa.ī
mire nasīb ke sūraj ne ḳhud-kushī kar lī
so dar pe mere kabhī bhī sahar nahīñ aa.ī
tumhāre baad diyā bhī nahīñ jalā ghar meñ
tumhāre baad havā bhī idhar nahīñ aa.ī
vo ek aas ki puurī jise na honā thā
vo ik umiid kisī din jo bar nahīñ aa.ī
bichhaḌ ke mujh se na jaane kahāñ basā huuñ maiñ
bahut dinoñ se mirī kuchh ḳhabar nahīñ aa.ī
maiñ dhuup chuntā huā ḳhush bahut huuñ sahrā meñ
mirī balā se agar chhāñv idhar nahīñ aa.ī
na ab junūñ hai na dasht-e-junūñ zamāne meñ
so ab kahīñ mujhe vahshat nazar nahīñ aa.ī
vo jis ke aane kā tā-umr e'tibār rahā
so e'tibār rahā vo magar nahīñ aa.ī
samūd-o-ā'd yahāñ sar uThā.e haiñ kab se
vo ek chīḳh abhī tak magar nahīñ aa.ī
tumhāre baad koī tum sā phir nahīñ aaya
tumhārī baat kisī meñ umar nahīñ aa.ī
tavīl hotī ga.ī baat har ġhazal meñ mirī
ki baat karnī mujhe muḳhtasar nahīñ aa.ī
koi KHushi koi rahat idhar nahin aai
main muntazir hi raha umr bhar nahin aai
safar tamam hua rahguzar tamam hui
meri talash ki manzil magar nahin aai
mere nasib ke suraj ne KHud-kushi kar li
so dar pe mere kabhi bhi sahar nahin aai
tumhaare baad diya bhi nahin jala ghar mein
tumhaare baad hawa bhi idhar nahin aai
wo ek aas ki puri jise na hona tha
wo ek umid kisi din jo bar nahin aai
bichhaD ke mujh se na jaane kahan basa hun main
bahut dinon se meri kuchh KHabar nahin aai
main dhup chunta hua KHush bahut hun sahra mein
meri bala se agar chhanw idhar nahin aai
na ab junun hai na dasht-e-junun zamane mein
so ab kahin mujhe wahshat nazar nahin aai
wo jis ke aane ka ta-umr e'tibar raha
so e'tibar raha wo magar nahin aai
samud-o-a'd yahan sar uThae hain kab se
wo ek chiKH abhi tak magar nahin aai
tumhaare baad koi tum sa phir nahin aaya
tumhaari baat kisi mein umar nahin aai
tawil hoti gai baat har ghazal mein meri
ki baat karni mujhe muKHtasar nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.