koi KHushi na koi gham hai kya kiya jae
koī ḳhushī na koī ġham hai kyā kiyā jaa.e
baḌā ajiib sā aalam hai kyā kiyā jaa.e
zarā sukūñ ho mayassar to koī baat bane
yahāñ to gardish-e-paiham hai kyā kiyā jaa.e
kahīñ se chīḳh bhī uTThī to rah ga.ī dab kar
ki ghuñghruoñ kī chhamā-chham hai kyā kiyā jaa.e
kahāñ se lā.iye ma.asūmiyat farishtoñ sī
gunāh fitrat-e-ādam hai kyā kiyā jaa.e
'asīr' ḳhvāb dikhāyā gayā thā jannat kā
galī galī meñ jahannam hai kyā kiyā jaa.e
koi KHushi na koi gham hai kya kiya jae
baDa ajib sa aalam hai kya kiya jae
zara sukun ho mayassar to koi baat bane
yahan to gardish-e-paiham hai kya kiya jae
kahin se chiKH bhi uTThi to rah gai dab kar
ki ghunghruon ki chhama-chham hai kya kiya jae
kahan se laiye masumiyat farishton si
gunah fitrat-e-adam hai kya kiya jae
'asir' KHwab dikhaya gaya tha jannat ka
gali gali mein jahannam hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.