koi KHubsurat mujhe ab nazara nahin dekhna hai
koī ḳhūbsūrat mujhe ab nazārā nahīñ dekhnā hai
qasam hai ḳhudā kī tumheñ ab dobāra nahīñ dekhnā hai
suhūlat agar de mujhe zindagī to nayā kuchh karūñgā
guzishta dinoñ meñ jo maiñ ne guzārā nahīñ dekhnā hai
maiñ kis ko batā.ūñ mire saath qismat ne kyā khel khele
mujhe ab falak par koī bhī sitārā nahīñ dekhnā hai
abhī lutf lenā hai mujh ko ka.ī saal tere karam kā
abhī zaḳhm-e-dil kā mujhe koī chāra nahīñ dekhnā hai
mohabbat jidhar bhī mujhe mil rahī hai chalā jā rahā huuñ
mire yaar mujh ko hamārā tumhārā nahīñ dekhnā hai
abhī to bahut kaam 'sohil' tire bin adhūre paḌe haiñ
abhī yaar is zindagī kā kinārā nahīñ dekhnā hai
koi KHubsurat mujhe ab nazara nahin dekhna hai
qasam hai KHuda ki tumhein ab dobara nahin dekhna hai
suhulat agar de mujhe zindagi to naya kuchh karunga
guzishta dinon mein jo main ne guzara nahin dekhna hai
main kis ko bataun mere sath qismat ne kya khel khele
mujhe ab falak par koi bhi sitara nahin dekhna hai
abhi lutf lena hai mujh ko kai sal tere karam ka
abhi zaKHm-e-dil ka mujhe koi chaara nahin dekhna hai
mohabbat jidhar bhi mujhe mil rahi hai chala ja raha hun
mere yar mujh ko hamara tumhaara nahin dekhna hai
abhi to bahut kaam 'sohil' tere bin adhure paDe hain
abhi yar is zindagi ka kinara nahin dekhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.