koi KHwahish koi arman koi hasrat na rahe
koī ḳhvāhish koī armāñ koī hasrat na rahe
itnā ro.eñ ki hameñ koī shikāyat na rahe
ġhair-mumkin hai magar sa.ī to kar ke dekheñ
sho.ala-e-zabt kī phir dil meñ harārat na rahe
duur itne na raho tum ki bahut mumkin hai
mujh ko ik roz tumhārī bhī zarūrat na rahe
ham se hai dozaḳh-o-jannat kā tamāshā yā-rab
ham na hoñ gar to koī un kī haqīqat na rahe
un ko insān 'jahāñgīr' kahūñ maiñ kaise
chāhte haiñ jo zamāne meñ mohabbat na rahe
koi KHwahish koi arman koi hasrat na rahe
itna roen ki hamein koi shikayat na rahe
ghair-mumkin hai magar sai to kar ke dekhen
shoala-e-zabt ki phir dil mein hararat na rahe
dur itne na raho tum ki bahut mumkin hai
mujh ko ek roz tumhaari bhi zarurat na rahe
hum se hai dozaKH-o-jannat ka tamasha ya-rab
hum na hon gar to koi un ki haqiqat na rahe
un ko insan 'jahangir' kahun main kaise
chahte hain jo zamane mein mohabbat na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.