koi kisi ki tarah hai koi kisi ki tarah
koī kisī kī tarah hai koī kisī kī tarah
bas ek aap kā jalva hai aap hī kī tarah
simaT ke ġham ke añdhere meñ log baiTh ga.e
magar hameñ to bikharnā thā raushnī kī tarah
ye mere ḳhvāb kī jannat ye chāñd kā āñgan
yahāñ to dhuup bhī lagtī hai chāñdnī kī tarah
nazar meñ shakl tirī sub.h-e-āftāb-e-azal
zabāñ pe naam tirā harf-e-āḳhirī kī tarah
ham un ḳhudāoñ se jhuk kar nahīñ milā karte
jo aadmī se na milte hoñ aadmī kī tarah
vo dard dushman-e-jāñ kaise ban gayā 'parvīn'
jise aziiz rakhā ham ne zindagī kī tarah
koi kisi ki tarah hai koi kisi ki tarah
bas ek aap ka jalwa hai aap hi ki tarah
simaT ke gham ke andhere mein log baiTh gae
magar hamein to bikharna tha raushni ki tarah
ye mere KHwab ki jannat ye chand ka aangan
yahan to dhup bhi lagti hai chandni ki tarah
nazar mein shakl teri subh-e-aftab-e-azal
zaban pe nam tera harf-e-aKHiri ki tarah
hum un KHudaon se jhuk kar nahin mila karte
jo aadmi se na milte hon aadmi ki tarah
wo dard dushman-e-jaan kaise ban gaya 'parwin'
jise aziz rakha hum ne zindagi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.