koi kuchh bataega kya ho gaya
koī kuchh batā.egā kyā ho gayā
yahāñ kaise har but ḳhudā ho gayā
tazabzub kā aalam rahā der tak
bil-āḳhir maiñ us se judā ho gayā
use kyā mujhe bhī nahīñ thī ḳhabar
ki maiñ qaid se kab rihā ho gayā
zamīñ pyaas se itnī behāl thī
samundar ne dekhā ghaTā ho gayā
ye duniyā adhūrī sī lagne lagī
achānak mujhe jaane kyā ho gayā
sharāb ham ne yaksāñ hī pī thī magar
tujhe is qadar kyuuñ nasha ho gayā
koi kuchh bataega kya ho gaya
yahan kaise har but KHuda ho gaya
tazabzub ka aalam raha der tak
bil-aKHir main us se juda ho gaya
use kya mujhe bhi nahin thi KHabar
ki main qaid se kab riha ho gaya
zamin pyas se itni behaal thi
samundar ne dekha ghaTa ho gaya
ye duniya adhuri si lagne lagi
achanak mujhe jaane kya ho gaya
sharab hum ne yaksan hi pi thi magar
tujhe is qadar kyun nasha ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.