koi kya jaane kaun behtar hai
koī kyā jaane kaun behtar hai
ye to insān kā muqaddar hai
jis ke aḳhlāq hoñ buland arfa.a
vo hī behtar hai aur bartar hai
TūTnā charḳh par sitāre kā
rab kī qudrat kā ek maz.har hai
do gazī ḳhaak par khudā marqad
ibn-e-ādam kā dā.imī ghar hai
har taraf ḳhauf-e-marg hai taarī
lagtā hai ye bhī koī mahshar hai
dukh meñ aañsū nahīñ bahātā dil
āj-kal ban gayā ye patthar hai
jo ki likhtā hai naam b m ḳhaañ
ye 'm'āle' vahī to ahqar hai
koi kya jaane kaun behtar hai
ye to insan ka muqaddar hai
jis ke aKHlaq hon buland arfa
wo hi behtar hai aur bartar hai
TuTna charKH par sitare ka
rab ki qudrat ka ek mazhar hai
do gazi KHak par khuda marqad
ibn-e-adam ka daimi ghar hai
har taraf KHauf-e-marg hai tari
lagta hai ye bhi koi mahshar hai
dukh mein aansu nahin bahata dil
aaj-kal ban gaya ye patthar hai
jo ki likhta hai nam b m KHan
ye 'm'ale' wahi to ahqar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.