koi kya jaane uske husn ki duniya kahan tak hai
koī kyā jaane us ke husn kī duniyā kahāñ tak hai
vahīñ tak dekh saktā hai nazar jis kī jahāñ tak hai
taḌaptā huuñ kisī kī yaad meñ aur ye samajhtā huuñ
ye bechainī mohabbat kī faqat umr-e-ravāñ tak hai
ḳhalish baḌhtī chalī jaatī hai har lahza nigāhoñ kī
ḳhudā jaane hamāre shauq kā aalam kahāñ tak hai
lagī hai aag siine meñ magar ye soch kar chup huuñ
bharam ahl-e-mohabbat kā faqat zabt-e-fuġhāñ tak hai
kahīñ aisā na ho us ko havā-e-ġham bujhā Daale
tumhāre ruḳh kī tābānī mire soz-e-nihāñ tak hai
na ghabrā.eñ chaman vaale naved-e-amn detā huuñ
rasā.ī bijliyoñ kī sirf mere āshiyāñ tak hai
vafā kī manziloñ se be-niyāzāna guzar 'shāriq'
tabī.at kī pareshānī ġham-e-sūd-o-ziyāñ tak hai
koi kya jaane us ke husn ki duniya kahan tak hai
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
taDapta hun kisi ki yaad mein aur ye samajhta hun
ye bechaini mohabbat ki faqat umr-e-rawan tak hai
KHalish baDhti chali jati hai har lahza nigahon ki
KHuda jaane hamare shauq ka aalam kahan tak hai
lagi hai aag sine mein magar ye soch kar chup hun
bharam ahl-e-mohabbat ka faqat zabt-e-fughan tak hai
kahin aisa na ho us ko hawa-e-gham bujha Dale
tumhaare ruKH ki tabani mere soz-e-nihan tak hai
na ghabraen chaman wale nawed-e-amn deta hun
rasai bijliyon ki sirf mere aashiyan tak hai
wafa ki manzilon se be-niyazana guzar 'shaariq'
tabiat ki pareshani gham-e-sud-o-ziyan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.