koi lega nahin badla hamara
koī legā nahīñ badlā hamārā
hamīñ ko qatl hai karnā hamārā
nichhāvar jaan bhī hai us pe karnī
abhī tai bhī nahīñ marnā hamārā
hamāre hoñT ke sahrā tumhāre
tumhārī aañkh kā dariyā hamārā
abhī ik sher kahnā rah gayā hai
abhī niklā nahīñ kāñTā hamārā
koi lega nahin badla hamara
hamin ko qatl hai karna hamara
nichhawar jaan bhi hai us pe karni
abhi tai bhi nahin marna hamara
hamare honT ke sahra tumhaare
tumhaari aankh ka dariya hamara
abhi ek sher kahna rah gaya hai
abhi nikla nahin kanTa hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.