koi mare to mar Dale mujhe
koī maare to maar Daale mujhe
is ḳharābe se to nikāle mujhe
'izzat-e-nafs merī bach jaa.e
mujh ko āvāz de bulā le mujhe
justujū thī ki tere lab paḌhtā
tū paḌhātī rahī risāle mujhe
bas añdhere se dostī kar lī
jab Darāne lage ujāle mujhe
ye sitam hai mire ḳhulūs ke saath
kar ke mad.hosh phir sañbhāle mujhe
vo haqīqat-pasand laḌkī bhī
kar ga.ī ḳhvāb ke havāle mujhe
pur-sukūñ niiñd uḌ ga.ī hai mirī
ai mirī maañ gale lagā le mujhe
baap ke baa'd mushkileñ dekhīñ
zarre lagne lage himāle mujhe
kaun rad kar sakegā mere giit
tū jo ik baar gungunā le mujhe
har ghaḌī yaad aate haiñ 'ārif'
haa.e vo nain kaale kaale mujhe
koi mare to mar Dale mujhe
is KHarabe se to nikale mujhe
'izzat-e-nafs meri bach jae
mujh ko aawaz de bula le mujhe
justuju thi ki tere lab paDhta
tu paDhati rahi risale mujhe
bas andhere se dosti kar li
jab Darane lage ujale mujhe
ye sitam hai mere KHulus ke sath
kar ke madhosh phir sanbhaale mujhe
wo haqiqat-pasand laDki bhi
kar gai KHwab ke hawale mujhe
pur-sukun nind uD gai hai meri
ai meri man gale laga le mujhe
bap ke ba'd mushkilen dekhin
zarre lagne lage himale mujhe
kaun rad kar sakega mere git
tu jo ek bar gunguna le mujhe
har ghaDi yaad aate hain 'arif'
hae wo nain kale kale mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.