koi mahtab nahin koi sitara bhi nahin
koī mahtāb nahīñ koī sitārā bhī nahīñ
ai ḳhudā bahr-e-mohabbat kā kinārā bhī nahīñ
haañ vahī shaḳhs ki thā lafz-e-judā.ī se ḳhafā
dam-e-ruḳhsat mujhe zālim ne pukārā bhī nahīñ
kyā sikhā.egā vo ādāb-e-mohabbat mujh ko
rāh-e-ulfat meñ jise rañj gavārā bhī nahīñ
shab-e-hijrāñ meñ liye baiThī huuñ ashkoñ ke charāġh
kyā karūñ is ke sivā to koī chārā bhī nahīñ
maiñ ne toḌā hai ta.alluq to faqat itnī hai baat
mujh meñ ab dard-o-alam sahne kā yaarā bhī nahīñ
us kī pur-shauq nigāhoñ se sajā kartī thī
vo gayā hai to kabhī ḳhud ko sañvārā bhī nahīñ
ġham-e-daurāñ ne 'shafaq' zulm kiyā hai aisā
bebasī meñ ġham-e-jānāñ kā sahārā bhī nahīñ
koi mahtab nahin koi sitara bhi nahin
ai KHuda bahr-e-mohabbat ka kinara bhi nahin
han wahi shaKHs ki tha lafz-e-judai se KHafa
dam-e-ruKHsat mujhe zalim ne pukara bhi nahin
kya sikhaega wo aadab-e-mohabbat mujh ko
rah-e-ulfat mein jise ranj gawara bhi nahin
shab-e-hijran mein liye baiThi hun ashkon ke charagh
kya karun is ke siwa to koi chaara bhi nahin
main ne toDa hai talluq to faqat itni hai baat
mujh mein ab dard-o-alam sahne ka yara bhi nahin
us ki pur-shauq nigahon se saja karti thi
wo gaya hai to kabhi KHud ko sanwara bhi nahin
gham-e-dauran ne 'shafaq' zulm kiya hai aisa
bebasi mein gham-e-jaanan ka sahaara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.