koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage
koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
koī maidāñ na jiitā ishq kā farhād ke aage
kasū ne dam na maarā tesha-e-faulād ke aage
ga.e dauḌe na āḳhir hazrat-e-yāqūb kan.āñ se
zamīñ naape pidar bhī husn-e-mādar-zād ke aage
akelā kyūñki lagtā bastiyoñ meñ dil bichāre kā
na hotā naqsh shīrīñ kā agar farhād ke aage
agar dhaḌkā ho jannat meñ to bad-tar hai jahannum se
hameñ gul ḳhaar sā lagtā hai us sayyād ke aage
'yaqīñ' us qad ke aage is tarah se sarv rusvā hai
daraḳhtān-e-bayābānī haiñ juuñ shamshād ke aage
koi maidan na jita ishq ka farhad ke aage
kasu ne dam na mara tesha-e-faulad ke aage
gae dauDe na aaKHir hazrat-e-yaqub kanan se
zamin nape pidar bhi husn-e-madar-zad ke aage
akela kyunki lagta bastiyon mein dil bichaare ka
na hota naqsh shirin ka agar farhad ke aage
agar dhaDka ho jannat mein to bad-tar hai jahannum se
hamein gul KHar sa lagta hai us sayyaad ke aage
'yaqin' us qad ke aage is tarah se sarw ruswa hai
daraKHtan-e-bayabani hain jun shamshad ke aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.