koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun
koī makīñ bhī na thā us makāñ se lauTā huuñ
ḳhudā hī jāntā hai maiñ kahāñ se lauTā huuñ
hayāt guzrī thī kirdār jis ke gaḌhne meñ
zalīl ho ke usī dāstāñ se lauTā huuñ
na koī naqsh nazar meñ na dhuul kapḌoñ pe
samajh meñ kuchh nahīñ aatā kahāñ se lauTā huuñ
jahāñ pe aa ke mukammal hue vujūd tamām
adhūrā ho ke akelā vahāñ se lauTā huuñ
vo ḳhushbūeñ to mire taak meñ hī thiiñ raqsāñ
talāsh kar ke jinheñ gulsitāñ se lauTā huuñ
zamīn vāloñ zamīñ kī na dāstāñ pūchho
guzishta raat hī maiñ āsmāñ se lauTā huuñ
jahāñ pe 'fānī' ko faanī banāyā jaatā hai
maiñ ab ke baar usī āstāñ se lauTā huuñ
koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun
KHuda hi jaanta hai main kahan se lauTa hun
hayat guzri thi kirdar jis ke gaDhne mein
zalil ho ke usi dastan se lauTa hun
na koi naqsh nazar mein na dhul kapDon pe
samajh mein kuchh nahin aata kahan se lauTa hun
jahan pe aa ke mukammal hue wujud tamam
adhura ho ke akela wahan se lauTa hun
wo KHushbuen to mere tak mein hi thin raqsan
talash kar ke jinhen gulsitan se lauTa hun
zamin walon zamin ki na dastan puchho
guzishta raat hi main aasman se lauTa hun
jahan pe 'fani' ko fani banaya jata hai
main ab ke bar usi aastan se lauTa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.