koi malal ab bhi aashkar ho to mazarat
koī malāl ab bhī āshkār ho to ma.azarat
nigāh aap se gila-guzār ho to ma.azarat
sar-e-mizha ajab ajab charāġh jal uTheñ agar
navāh-e-chashm jashn-e-nau-bahār ho to ma.azarat
ye naḳhl-e-be-numū jo barg-o-bār lā nahīñ sakā
ba-faiz-e-dast-e-ġhair shāḳh-sār ho to ma.azarat
shikastagī ke baa'd dil bhī dekhne kī chiiz hai
nazar paḌe pe aañkh sharmsār ho to ma.azarat
junūñ kī rau meñ ho rahī hai ik ke baa'd ik ġhazal
ye silsila abhī sitāra-vār ho to ma.azarat
ravāq-e-jāñ meñ nazd-e-shām ik diyā sā jal uThe
nigār-e-shab ke haath meñ sitār ho to ma.azarat
sipāh-e-ġham to dil ko rauñdte hue guzar chukī
muhīt manziloñ abhī ġhubār ho to ma.azarat
maiñ ḳhud se to hisāb-e-dostāñ kabhī nahīñ kiyā
ḳhudā-na-karda gar kabhī shumār ho to ma.azarat
faqīr kā to hāsil-e-hayāt hai yahī hunar
janāb ko matā.a-e-kam-ayār ho to ma.azarat
ba-yak-nigah maiñ ḳhusrav-e-ġhazal to ho nahīñ sakī
ye durd-e-mai ḳhumār-e-musta.ār ho to ma.azarat
koi malal ab bhi aashkar ho to mazarat
nigah aap se gila-guzar ho to mazarat
sar-e-mizha ajab ajab charagh jal uThen agar
nawah-e-chashm jashn-e-nau-bahaar ho to mazarat
ye naKHl-e-be-numu jo barg-o-bar la nahin saka
ba-faiz-e-dast-e-ghair shaKH-sar ho to mazarat
shikastagi ke ba'd dil bhi dekhne ki chiz hai
nazar paDe pe aankh sharmsar ho to mazarat
junun ki rau mein ho rahi hai ek ke ba'd ek ghazal
ye silsila abhi sitara-war ho to mazarat
rawaq-e-jaan mein nazd-e-sham ek diya sa jal uThe
nigar-e-shab ke hath mein sitar ho to mazarat
sipah-e-gham to dil ko raundte hue guzar chuki
muhit manzilon abhi ghubar ho to mazarat
main KHud se to hisab-e-dostan kabhi nahin kiya
KHuda-na-karda gar kabhi shumar ho to mazarat
faqir ka to hasil-e-hayat hai yahi hunar
janab ko mataa-e-kam-ayar ho to mazarat
ba-yak-nigah main KHusraw-e-ghazal to ho nahin saki
ye durd-e-mai KHumar-e-mustaar ho to mazarat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.